Thursday, 3 September 2015

Adhoori daasta



Ehmiyat kya hai unki hum khud na jaan sake
Mohabbat me unki hum yuhi aagey badhte rahe..
Ummid thi kahi se vo aaye or thaame humara hath
Lekin ummid bhi toh khwab ki tarah hai, yaa toh vo tut jaati hai yaa adhoori rehti hai
Hum apni mohabbat zaahir na kar sake..
Vo samajh bethe vo humare liye ehem hi nahi hai..
Kese bayaan karu unhe ki aaj iss nafrat bhare dil me mohabbat unki badaulat hai..
Kese kahu unse tu hi toh meri jaan hai..
Hum zindagi ko gulzar samjhne lage..
Khushiyo se bhari  iss kahani ko haqiqat maan ne lage..
Humari ye dua thi ki hume ye khushiya zaroor miley
Tabhi vo dua kar bethey “aapko zindagi me beintehaan mohabbat karne wala shaks miley
Majburi me chutey sath ko hum bewafai nahi kahenge..
Dur bethe shayad vo humse zyada ro rahe honge..
Zindagi ki ye daasta badi khoob rahi..
Lekin naa jaane kyu ye bhi adhoori reh gai…

Friday, 10 April 2015

Zindagi Gulzar Hai

Zindagi chaao toh gulzaar hai
Naa chaaho toh bekaar hai..
Apni hi muskurahat se zindagi ko khushnuma banaye..
Yu kisi k liye bewajah aasu na bahaye..
Iss paak se dil ko sambhal k rakhey..
Kisi gair ko deke isse nappak na karein
Khuda ki inayat hai tumpe
Ek khushnuma zindagi neki me mili hai
Yu kisi k rehte iss neki ko na gawayein
Jannat jaane k khwaab na dekhe balki zindagi ko jannat banaye
Apni soch ko mohabbat se bharein
Kya pata shayad zindagi se hi mohabbat ho jayein
Har pal ko aakhri pal ki tarah jiyein
Har saas mein khushi mehsoos karein
Khuda ki iss inayat ko bekaar na samjhein
Aane wala har naya pal khubsoorat hi hoga
Aane wala har naya shaks ehem hi hoga
Agar iss neki ko ehmiyat dete hai beshumaar
Tabhi toh kahenge,haa hain zindagi gulzaar.

Ghumshuda Mohabbat



Mohabbat lafz ab meri zindagi mein shaamil nahi..
Shayad kho hi gai hain kahi..
Jisko main neki maan bethi thi vo zeher tha...
Jannat ka naqab odhe vo jahnum tha..
Tamam khushiya dene k baad aaj vo sirf tanhai chorh gaya..'
Jis ehtaram se usse shaamil kia..
Utni hi bedardi se vo mujhe tanha kar gaya..
Kyu intezzar karti hu uss mohabbat kaa..
Jaanti hu...ekthiyaar hi hu uski zindagi kaa..
Khwaabo mein aake apna wajud dikhate ho..
Chand lamho k liye  tamam khushiya le aate ho...
Aur dusre hi pal vahi zillat waali zindagi de jaate ho..
Nakhush hu main iss faisle se...
Gawara nahi ye duriya ab tumse..
Laut aa ae ghumshuda mohabbat meri..
Tumhare bina sooni hai ye zindagi meri..

Sunday, 19 October 2014

HUMSAFAR

Jis shiddat se aapko chaha hai,
ussi shiddat se aapko manga hai.
Haa karte hain mohabbat aapse hum tahe dil se
Zindagi bhar ke liye aapko apna humsafar manga hai rab se.
Khuda gawah hain humari wafai ka,
phir jaane kyu aapko aitraaz hain iss chahat ka.
Iss aitraaz ki bhi izzat karte hain hum
zindagi bhar karte rahenge intezaar aapka hum.
Sharminda hain hum apni gustakhiyo ki wajah se
Maaf kar dijiye hume ek nadani samajhke.
Kismat ne hume milaya , kismat ne hi hume kia hain dur
Mohabbat ka rishta itna kamzor nahi hota janab
Warna pehli hi nazar me hume ye rishta kaise hota manzoor.
Aapki baaho mein mehfuz rehte the hum
Zamin pe kadam the lekin jannat me rehte the hum.
Aap humsafar ho humare, ho humare aap naseeb
Kabhi hume na karna dastbardaar, rakhna humesha apne dil ke karib.
Iss mohabbat ki izzat rakhna, yaad aaye humari mud ke zaroor dekhna
Hum tab bhi denge sath apka  zarurat hogi aapko agar
Kyu ki mana hain  aapko humne apna zindagi bhar k liye humsafar.